Chaar Paise Kamane
Waqt ka ye parinda ruka hai kahan main tha paagal jo isko bulata raha Chaar paise kamane main aaya shahar Gaon mera mujhe yaad aata raha Laut ta tha main jab pathshala se ghar Apne haathon se khana khilati thi maa raat mein apni mamta ke aanchal tale thapkiyan mujhe de ke sulati thi maa soch ke dil mein ek tees uthti rahi Raat bhar dard mujhko jagata raha Chaar paise kamane main aaya shahar Gaon mera mujhe yaad aata raha Sabki aankhon mein aansu chalak aaye the Jab ravana hua tha shahar ke liye Kuch ne maangi duayen ki main khush rahoon kuch ne mandir mein jaake jalaye diye Ek din main banoonga bada aadmi Ye tasavvur unhen gudgudata raha Chaar paise kamane main aaya shahar Gaon mera mujhe yaad aata raha Maa ye likhti har baar khat mein mujhe Laut aa mere bete tujhe hai qasam Tu gaya jabse pardes bechain hoon neend aati nahin bookh lagti hai kam kitna chaha na roun magar kya karoon khat meri maa ka mujhko rulata raha Chaar paise kamane main aaya shahar Gaon mera mujhe yaad aata raha