Chaar Paise Kamane

Waqt ka ye parinda ruka hai kahan
main tha paagal jo isko bulata raha
Chaar paise kamane main aaya shahar
Gaon mera mujhe yaad aata raha

Laut ta tha main jab pathshala se ghar
Apne haathon se khana khilati thi maa
raat mein apni mamta ke aanchal tale
thapkiyan mujhe de ke sulati thi maa

soch ke dil mein ek tees uthti rahi
Raat bhar dard mujhko jagata raha
Chaar paise kamane main aaya shahar
Gaon mera mujhe yaad aata raha

Sabki aankhon mein aansu chalak aaye the
Jab ravana hua tha shahar ke liye
Kuch ne maangi duayen ki main khush rahoon
kuch ne mandir mein jaake jalaye diye

Ek din main banoonga bada aadmi
Ye tasavvur unhen gudgudata raha
Chaar paise kamane main aaya shahar
Gaon mera mujhe yaad aata raha

Maa ye likhti har baar khat mein mujhe
Laut aa mere bete tujhe hai qasam
Tu gaya jabse pardes bechain hoon
neend aati nahin bookh lagti hai kam

kitna chaha na roun magar kya karoon
khat meri maa ka mujhko rulata raha
Chaar paise kamane main aaya shahar
Gaon mera mujhe yaad aata raha

Comments

Popular posts from this blog